🎬 The Diplomat Movie Review – MAZA AA GAYA YAAR!

AmanReviews1 week ago23 Views

🧑‍💼 John Abraham – Bollywood Ka Honest Banda

Sach bolun toh John bhai ek dum simple aadmi hai Bollywood mein. Apne kaam se kaam rakhta hai, banda aata hai, apna kaam karta hai aur nikal jaata hai – bina kisi controversy, drama, ya media tamasha ke.

Aur is baar bhi wahi scene hai – The Diplomat mein John ne wahi apna simple, straight, aur committed wala kaam kiya hai.


The Diplomat deti hai bilkul “Edge of the Seat” Experience

Is film ki sabse badi jeet hai iska reality se juda hona. Na unnecessary romance, na item song, na OTT drama, na koi action scene.

Just ek dam tight aur crisp storyline – jisme har scene relevant lagta hai.

Yeh film ek sachi ghatna par based hai, isliye realism feel karna important tha – aur yeh log uspe full marks le jaate hain.


Pakistan Ko Dikhaya Gaya Hai Without Filters

Ek aur solid point – film Pakistan ke andar ki politics aur mentality ko bilkul no-filter style mein dikhati hai. Na koi safe play, na diplomatically sugarcoat karna.

Honestly, ye film Raazi ka ek solid jawab lagti hai – jisme sirf emotional play nahi, balki strong political context bhi dikhaya gaya hai.


Shivam Nair – Real Hero Behind the Camera

Director Shivam Nair ne film ko itna tight aur impactful banaya hai ki climax aate-aate aapka pulse badhne lagta hai.

Sabse achi baat jo iss poori movie mein hai, John Abraham ki body dekh ke unhone kisi cheesy scene ka temptation nahi liya. 

Na unnecessary action, na climax ka over-the-top showdown. Film ka realism end tak maintain rakha hai – which is rare in Bollywood today.


🎭 Performances – John Abraham Asli Diplomat Lagte Hai

John ka performance ek dum smooth butter jaisa hai. Banda full control mein lagta hai – confident, composed aur full-on dedicated.

Heroine – Sadia Khateeb (jo pehle Shikara aur Raksha Bandhan mein dikh chuki hain) – unka kaam bhi decent hai. Kahi scenes mein unka emotional connect thoda weak laga, but overall she’s graceful and sweet. 

Aur haan, beech beech mein unko dekh kar Tripti Dimri ki yaad aa jaati hai – mazaak kar raha hu yaar, wasie sach bhi samajh sakte ho, chalo choro, aage baat karte hain.


Ek Realisation – Pakistan Mein Bhi Dimaag Aa Gaya Hai Kya?

Film dekhte-dekhte mujhe Sarabjit case yaad aa gaya – woh bhi galti se Pakistan pahuch gaya tha… aur jo wahan hua sabko pata hai.

Lekin The Diplomat mein jo legal process dikhayi gayi hai, usse ek hope jagti hai ki shayad wahan ke law-makers bhi thoda mature ho rahe hain.

Film dekhte waqt tension bhi full tha – ki kahin kuch gadbad na ho jaaye climax mein! But sab realistic rakha, that was really good and superb too.


Final Verdict – Jao Bhai Dekh Lo! Must Watch Hai

Agar aapko masaledaar film ki aadat lag gayi hai tab bhi aapko yeh movie kahin se bhi bore nahin karegi and trust me, yeh film dil se bani hai guyz.

Story real hai, treatment clean hai, acting solid hai – aur deshbhakti feel bhi subtly aa jaata hai climax mein. Sadia Khateeb jab Bharat mein kadam rakhte hi, pehle dharti ko pranaam karti h, you will literally feel goosebumps and love for your country at the same time, and you know, that is a very rare feeling.

Rating – No ratings, just go and watch it.

Watch John Abraham-starrer The Diplomat’s trailer:

Leave a reply

Join Us
  • X Network2.1K
  • LinkedIn1.98K
  • Instagram212

Stay Informed With the Latest & Most Important News

I consent to receive newsletter via email. For further information, please review our Privacy Policy

Categories
Loading Next Post...
Follow
Search Trending
Popular Now
Loading

Signing-in 3 seconds...

Signing-up 3 seconds...