“Yeh sirf ek election nahi hai… yeh Phulera ki izzat ka sawaal hai!”
Phulera wapas aa gaya hai – lekin iss baar gaon ki galiyaan sirf shaanti nahi, siyasi hungama bhi lekar aayi hain. Trailer ki shuruaat hi ek killer line se hoti hai:
🗣️ “Elections mein kya hi bharosa, kab kaun jeet jaye pata hi nahi chalta.”
Election ki ghanti baj chuki hai. Sabhi characters apne samose, aloo aur plans ke saath ready hain.
Ek taraf Manju Devi, dusri taraf Kranti Devi – aur beech mein hamare Sachiv Ji, jinke paas na kursi hai na chain!
Ek moment mein ladki kehti hai:
“Mummy ke liye fan page bana diya hai maine.”
Dusra jawab aata hai:
“Kitabein padhne ke bajaye is sab mein busy hai ab.”
Aur punch line – “Woh yeh sab apne maa-baap ke liye kar rahi hai.”
Iss baar election sirf vote tak seemit nahi hai – kitchen politics bhi full swing mein hai! Pradhan Ji ka plan dekho:
“Jo bhi chai pe aaye, usko samose bhi khila dena.”
Ab jab samosa bhi politics ka hissa ban gaya ho, toh socho voting kitni tasty hogi!
Yeh season sirf election nahi, emotion bhi leke aaya hai.
Sachiv ji ko lagi chot ke baad Manju Devi bolti hain:
“Maar itni zabardast thi ki daant hi hil gaye.”
Ek hilarious moment jab MLA bolta hai:
“Nachenge! Kaunsa song bajayein? English? Hindi? Bengali?”
Aur jawab milta hai – “Bhojpuri!”
Uspar chutki: “Bas kar.”
Phulera ek baar phir se tayyar hai – politics ke chakravyuh mein ghusne ke liye.
Panchayat Season 4 ka trailer batata hai ki iss baar kissa sirf Panchayat seat ka nahi, izzat aur usoolon ka bhi hai.
Jo bhi trailer dekhega, ek hi baat bolega –
“Phulera zindabad! Panchayat laajawab!”
Ab end mein ek baat, jo trailer finish karte hi mujhe lagi, iss baar ka season bohot emotional hone wala hai. Jaise season 2 ne humein last mein emotional kar diya tha, theek waise hi emotions iss season mein milne wala hai.
Season 3 apne previous season jitna accha nahin tha but yes, this season 4 will really be very very zabardast.
Baaki 24 June ko pata chal hi jayega.Watch Panchayat Season 4 Trailer Here :