Hello doston,
Movie ke starting ke 15-20 minute ne literally mute kar diya mujhe. Wo visuals, wo sound, wo chaos – sab kuch itna intense tha ki dil bhar aaya.
Mujhe laga main Jallianwala Bagh ke beech hi khada hoon.
Lekin movie sirf Jallianwala Bagh ke baare mein nahi hai… asli story toh baad mein start hoti hai.
Film ka main hero hai Shankaran Nair – ek aise Indian barrister jinhone pehle British Raj ke liye kaam kiya, lekin jab waqt aaya toh unhi ke khilaf courtroom mein khade ho gaye.
Unhone sirf General Dyer ke khilaf case nahi lada, poori angrezi hukumat ke mooh pe tamacha maara.
Ye koi typical patriot-type story nahi hai – ye ek courtroom war hai, maza aayega aapko dekhne mein, sach keh raha hoon.
Akshay Kumar – bhai finally kaafi time baad ek role jismein Akshay paaji calm, serious aur impactful lage hain. Emotional bhi, focused bhi. Overacting ka naam-o-nishaan nahi.
R. Madhavan – full vibe, full screen presence aur handsome toh vo hain hi. Dialogue delivery se leke body language tak – sab 10/10.
Aur haan, Ananya Panday ne is film mein acting ki hai. Sahi mein. Ek scene mein unka expression aisa tha ki mujhe laga,
“Yeh wohi Ananya hai kya?”
Ek scene hai – khat wala – usmein aap khud ko rone se rok nahin paoge, very emotional.
Bina background music ke sirf silences mein jo feel create kiya gaya hai na, wo sab kuch keh jaata hai.
Aur last mein Akshay Kumar ka courtroom dialogue – bhai, goosebumps. Full hall silent ho gaya tha.
Bas ek jagah thoda sa feel aaya ki BGM unnecessary loud tha… dialogue ke upar overshadow kar raha tha. But overall, film visually tight aur sensibly made hai.
“Teri Mitti” wala version bhi movie mein aata hai – aur right moment pe aata hai. Na zyada, na kam – perfect timing.
Movie history plus fiction ka mix hai but jo jawaab aapko chahiye Jallianwala Bagh ko lekar, vo aapko mil jayenge aur kaafi shocking facts bhi aapko jaanne ko milenge jo school ki history books mein nahin the, ya shayad honge, maine sahi se kitaab nahin padhi hogi.
Bhai, rating kya hi deni iss movie ko, ek baar dekhna toh banta hai.
Baat khatam – milte hain next review mein.
Tab tak – All That Is par aur updates padhte raho 🎬❤️
Watch Kesari Chapter 2 Trailer Here :