🎬 Good Bad Ugly (2025) – Ajith Sir Ne Dil Nahi Dimaag Uda Diya

AmanReviews2 weeks ago17 Views

Dekho bhai, Ajith Kumar ki film ka naam suna toh laga ki is baar kuch mass masala dekhne milega. Excitement leke gaya tha theatre mein, popcorn bhi liya, seat bhi centre wali…

Lekin bhai, film shuru hui aur sirf 10 minute mein samajh aa gaya – ye toh pachtaane wali ride hai.


📸 Har Scene Mein Itna Zoom Ki Lag Raha Tha Doctor Endoscopy Kar Raha Hai

Yaar itna camera ghooma, slow motion chala, aur background score baja ki laga koi YouTube reel dekh raha hoon jo 2 second mein viral hone ke liye banayi ho. Har shot mein laga kuch zyada ho gaya… matlab scene dikhane ke bajaye feel thoka ja raha tha.


🧠 Kahani? Bhool Jao Bhai… Ye Film Toh Logic Ka Shraadh Hai

Pehla half dekh ke laga, “Theek hai… build-up hoga.”

Doosra half aaya toh laga director ne socha, “Build-up kyun? Seedha destruction karte hain.”

Ajith bhai ek car leke villain ke peeche bhaag rahe hain… kyun? Kaise? Kya ho raha hai? Ghutne se socho, tab samajh aayega.


🎮 Film Ya Video Game?

Editing aisi thi jaise PUBG ki montage video ho. Background score aisa tha ki laga DJ wale babu theatre mein ghus gaye hain.

Aur dialogues? 

kya hi bolu, mujhe ghutnon se sochna nahin aata.


Ajith Sir Ko Dil Se Respect – Par Script Writer Ko Wifi Mat Dena 😂

Dekho, Ajith sir jaisa grounded aur real banda kam milta hai. Unka style, unka presence ek alag level par hai.

Lekin yeh film… us style ke saath anyay karti hai.

Sirf stunts aur visuals se film nahi chalti bhai, thoda story bhi daalna padta hai.


💡 Sikhne Waali Baat – Hero Kitna Bhi Bada Ho, Script Achhi Honi Chahiye

Ajith sir ko genuinely ache directors ke saath kaam karna chahiye – jahan film sirf fan service na ho, balki audience ko bhi maza aaye.

Naam bada hai toh zimmedaari bhi badi honi chahiye.


📢 Final Verdict – Good Bad Ugly? Bhai Sirf Ugly.

Film khatam hone ke baad theatre se nikalte waqt main khud se pooch raha tha: 

Koi youtube video dekhta hu jakar, ya koi course purchase karta hu, jismein ghutnon se sochne ki training di gayi ho.

Aankhon ka dard, dimaag ka jhatka aur dil ka disappointment — sab milke ek alag hi level ka emotional damage de gaye.


Aur haan, agar tum soch rahe ho ki yeh film dekhne jaani chahiye ya nahi —

Toh bhai, ghar pe raho, chai banao, aur Ajith sir ke purane scenes YouTube pe dekh lo… Bohot Simple Hai.

Watch Trailer Here :

Leave a reply

Join Us
  • X Network2.1K
  • LinkedIn1.98K
  • Instagram212

Stay Informed With the Latest & Most Important News

I consent to receive newsletter via email. For further information, please review our Privacy Policy

Categories
Loading Next Post...
Follow
Search Trending
Popular Now
Loading

Signing-in 3 seconds...

Signing-up 3 seconds...