Kya Indian Cinema Mein Violent Movies Ka Future Khatre Mein Hai?

AmanCinePedia1 month ago10 Views

Jab Pushpa 2 box office pe dhamaka kar rahi thi, tab ek interesting baat jo mere dimaag mein aayi—agar ek mass entertainer ka sequel itna bawaal kar sakta hai, toh Animal ka comeback kitna bhayankar hoga.

Chahe log Animal ko pasand karein ya nafrat, ek baat toh pakki hai—Sandeep Reddy Vanga ne jo Animal Park ke liye promise kiya hai, wo Indian cinema ke standards change kar sakta hai.

Lekin filhaal ek bad news aayi hai, jo Animal Park ke future ko directly impact kar sakti hai. Film Marco ka permanent ban!

Marco ka Ban – Ek Dangerous Signal?

Ek simple si Malayalam film Marco, jo audience ke personal request par Hindi dub mein release hui thi, usko makers ne sirf ek “violent film” bolke promote kiya tha.

Lekin jab public ne dekhi, toh usko India ki sabse violent film declare kar diya.

30 crore me bani film ne 100 crore+ kama liye, lekin logon ke dimaag me iska impact 1000 crore wali movie jitna tha.

Reason For Marco Ban?

Unseen action scenes, insane violence, jo sirf socha ja sakta tha, banaya nahi ja sakta tha.

Jab movie OTT pe aayi, toh waha bhi dhamaka kiya. Lekin jab iska TV version announce hone wala tha, tab pata chala ki film permanently ban ho chuki hai. Na sirf TV premiere cancel hua, balki OTT se bhi delete karne ki request daal di gayi. Yani ek full and final ban!

Kya Animal Park Ko Rok Diya Jayega?

Sandeep Vanga ne promise kiya tha ki jo Animal me dikha, wo sirf 10% tha us pagalpan ka jo Animal Park me hoga.

Lekin ab problem yeh hai ki agar Animal Park ko Marco ke level se bhi 10 guna zyada intense banana hai, toh kya censor board usko allow karega?

Kya censor board Animal Park ko bhi crush kar dega? Kya Sandeep Vanga marzi ke mutaabik movie bana paayenge?

Final Thoughts

Abhi toh Spirit aa rahi hai—Prabhas ki super cop movie.

Lekin asli test to Animal Park ka hoga. Agar yeh ban ho gayi, toh Indian cinema me high-violence films ka future danger me aa sakta hai.

Bas ek sawaal hai—jab ek film 18+ certification le chuki hai, toh usko ban karna kitna sahi hai?

Aur agar theatre me chal sakti hai, toh OTT aur TV pe kyu nahi?

Filhaal toh Animal Park 2027 se pehle nahi aane wali, kyunki pehle Sandeep Reddy Vanga ki Spirit aayegi, uske baad Sandeep Sir Animal Park ki script par kaam karenge.

Tab tak censor board aur public ke beech bada showdown ho sakta hai. Kya pata public ek aisa decision suna de ki censor board ko bhi jhukna pade!

Kya lagta hai – violent movies ka future sach mein khatre mein hai? Kya Animal Park release ho payegi, ya ban ka shikaar banegi?

Comments me apni rai zarur de! 🚀🔥

Leave a reply

Loading Next Post...
Follow
Search Trending
Popular Now
Loading

Signing-in 3 seconds...

Signing-up 3 seconds...