Hello Doston,
Maine movie ka review toh kar diya tha and bola bhi tha ki movie ka content solid hai. Ab waqt aa gaya hai dekhne ka ki box office aur public reaction kya bol raha hai.
Kesari Chapter 2 ek historical courtroom drama hai, based on Jallianwala Bagh massacre ke aftermath pe.
Star cast bhi zabardast hai:
Toh storyline serious hai, performances strong hain, lekin chali kya ye movie box office pe?
Aao, simple language mein har angle pe baat karte hain 👇
Day | India Net Collection |
---|---|
Day 1 (Friday) | ₹7.75 Cr (Thoda disappointing start) |
Day 2 (Saturday) | ₹9.75 Cr (25% ka jump!) |
Day 3 (Sunday) | ₹12.25 Cr (Solid!) |
Weekend Total | ₹30 Cr approx |
Day 4 (Monday) | ₹4.59 Cr (Decent hold) |
India Net (Day 4 tak) | ₹34.09 Cr |
Worldwide Total | ₹56 Cr (India Gross ₹40 Cr + Overseas ₹16 Cr) |
Abhi tak film ne worldwide ₹50 Cr+ kama liye hain, aur officially 2025 ki 7th highest grossing Hindi film ban gayi hai! 💥
Film ne start toh thoda slow liya, lekin weekend par achha perform kiya. Weekdays mein agar strong hold nahi dikhaya, toh struggle ho sakta hai.
Log movie ke dialogues, courtroom scenes aur patriotic tone se connect kar rahe hain.
Agar aapko serious storytelling, courtroom drama aur solid acting performances pasand hain, toh ye film definitely worth watching hai.
Ye koi masala movie nahi hai, but content-rich aur emotional ride hai lekin ha, movie purely history based nahin hai, fiction bhi added hai.
Milte hain next breakdown mein – tab tak ke liye…aur updates padhte rahiye.