Main hoon Aman Mishra, aur aaj hum baat karenge ek naye trailer ki… “Sitaare Zameen Par”
Lekin review start karne se pehle – ek REALITY CHECK zaroori hai.
Bhai, filmon mein “hero” banne wale log real life mein villain vibes dene lage hain. Yeh sirf ek trailer review nahi, ek mirror hai uss Bollywood ke liye jo ab bas screen pe hi bacha hai.
“OPERATION SINDOOR” ko lekar ek word nahin nikla inn logon se. Kya kar sakte hain yeh bhi, yeh log REEL mein hero hain, REAL mein nahin. Real mein hero banne ke liye JIGRA lagta hai.
Yeh toh sabko samajh aa gaya hai – Bollywood ke bade sitaare, ab zyada shine nahi karte.
India-Pakistan issue, ya koi sensitive topic – Bollywood ka silence expected because yeh log apni movies mein kya promote karte hain, sabko pata hai.
Naam lene ki zarurat nahi, lekin hum sabko pata hai kaun kya promote karta hai aur kya conveniently ignore.
Bas ek baat clear hai –
Actors ab sirf actors hain, inko HERO bolna band karo ab. Sirf “Actor” bolo.
Ab yeh samajh lo – chup rehna bhi ek statement hoti hai.
Sarkar ho ya opposition – sab bol rahe hain.
Lekin Bollywood?
Shhhh… sab safe zone mein hain.
Kyu bhai? Koi PR strategy chal rahi hai ya sach bolne se Gutkhe ka brand haath se chala jaayega?
Bhai, acting toh Aamir Khan ki top class hai – koi shaq nahi.
Lekin ab lagta hai real life mein bhi scripted interviews aur image building chal rahi hai.
Kabhi Turkey jaake meetings, kabhi Laal Singh Chaddha mein subtle propaganda.
Matlab, hum ab emotionally invest nahi kar sakte.
Film enjoy karo, lekin fan bhakti ka zamana gaya!
Dekho bhai, trailer dekhte hi samajh aa gaya – originality ka postmortem ho chuka hai.
Yeh clearly Spanish movie “Champions” ka remake hai.
Aur Aamir Khan ka character dekhte hi “Secret Superstar” yaad aa gayi. Maine nahin dekhi hai “Secret Superstar.” Tum hi log batao, ab dekhun ya nahin?
Pichhle kuch mahino se bhai sabzi le rahe hain, rikshaw mein ghoom rahe hain, haircut karwa rahe hain – aur ab YouTube pe bhi aa gaye hain.
Aamir Khan Vlogs incoming… 😂
Dialogues mein koi wow factor nahi hai.
Genelia D’Souza sweet lag rahi hain. Mujhe unko dekhkar “Chance Pe Dance” yaad aa gayi.
“Taare Zameen Par” ne ek generation ko jaga diya tha.
Par “Sitaare Zameen Par” ka trailer us level ka impact nahi laaya.
Jo dil ko chhoo jaaye, woh vibe missing hai.
Pros:
✅ Concept strong hai
✅ Emotions hai but impactful hoga ya nahin, vo movie dekhkar pata chalega
✅ Music – no comments
Cons:
❌ Depth missing hai.
❌ Aamir ka character disappoint kar raha hai.
Trailer dekha? Kaisa laga?
No filters, bas asli opinion.
Comments mein likh daalo – kya yeh film “taare” laayegi ya sirf “zameen” pe ghumayegi?
Aur haan –
All That Is telegram channel zarur join kar lena, warna next baar Aamir bhai sabzi lene aaye toh unka vlog miss ho jaayega! 😂
Milte hain agle review mein –apne style mein, sach with no filters.
Tab tak ke liye, BYE BYE doston! ❤️
Telegram channel: https://t.me/allthatisreviews